“Ma’am main to housewife hun…”
“Umm, ma’am I am just a housewife, bas yeh bachche aur ghar..”
“Ma’am, she is just a housewife…”
How often have you heard a woman say this with awkwardness bordering on embarrassment?
Aapne kisiko suna hai, yeh bolte huye? Ya aapne khud yeh bola hai?
Har saal, main hundreds of parents se milti hun. … unse milkar yeh janne ki koshish karti hun ki unke liye school kya mayne rakhta hai…
And one of the first questions I usually ask… is tell me something about yourself apne baare mein mujhe kuch bataiye…
Aur 99% of times, pehle father hi reply karte hain.. Woh badi shiddat se apna naam aur pesha batate hai.. Generally, share karte hai ki apni education aur work life ke baare mein…
Phir main mother se puchti hun ki aap apne baare mein bataiye… aur agar mother housewife hai, jo almost 90% cases mein hoti hai, to woh is sawal ko sunke woh sikud si jaati hai.. Since the father starts talking, she just prays that this question does not come to her… but it does aur jab apna introduction dena hota hai woh sirf yahi kehti hai… ma’am main to sirf ek housewife hun…
Par mere liye yeh moment sabse painful hota hai… kyonki woh lady apne hone pe sharminda hoti hai… us ne apni zindagi baccho aur ghar ke taur tariko mein aisi lapeti hoti hai ki woh khud ke liye 2 line bhi nahin bol sakti hai.. par kya housewife hona chhoti baat hai?
India mein jitna pollution aur food adulteration hai, agar hum aaj bhi relatively healthy hai uska reason hai roz ka fresh bana hua ghar ka khana… aaj bhi hamari maa, mausi aur dadi bade pyaar se ghar ko sambhalti hai taa ki hum humari zindagi sambhal sake… woh 24/7 kaam karti hai aur na chhutti milti hai na paisa! Par humein unhe yahi baat izzat aur gurur se bolna sikhana hai….
aakhir housewife hona bhi ek choice hai…
agar woh choice nahin hai to … my dear mothers speak up…
Aaj ki duniya aapko sunegi.. Par aawaz to aapko hi uthani padegi.. Agar aap housewife hone se khush nahin hai, find something to do… hamara patriarchical samaj badal raha hai.. Dheere dheere par badal raha hai.. Aap apne aap ko sirf job se nahin dhundh paayenge.. Kisi hobby se, kisi larger than life kaam se ya sirf reading se bhi dhundh sakte hai…
So don’t be sorry about being a housewife… be proud. Aur Apni personality ko mat khoiye… find your voice…